mere qarib hi mahtab dekh sakta tha
mire qarīb hī mahtāb dekh saktā thā
ga.e dinoñ meñ ye tālāb dekh saktā thā
ik aise vaqt meñ sab peḌ maiñ ne naql kiye
jahāñ pe maiñ inheñ shādāb dekh saktā thā
ziyāda der usī naav meñ Thaharne se
maiñ apne-āp ko ġharqāb dekh saktā thā
koī bhī dil meñ zarā jam ke ḳhaak uḌātā to
hazār gauhar-e-nāyāb dekh saktā thā
kahāniyoñ ne mirī ādateñ bigāḌ dī thiiñ
maiñ sirf sach ko zafar-yāb dekh saktā thā
magar vo shahr kahānī meñ rah gayā hai dost!
jahāñ maiñ rah ke tire ḳhvāb dekh saktā thā
mere qarib hi mahtab dekh sakta tha
gae dinon mein ye talab dekh sakta tha
ek aise waqt mein sab peD main ne naql kiye
jahan pe main inhen shadab dekh sakta tha
ziyaada der usi naw mein Thaharne se
main apne-ap ko gharqab dekh sakta tha
koi bhi dil mein zara jam ke KHak uData to
hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha
kahaniyon ne meri aadaten bigaD di thin
main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha
magar wo shahr kahani mein rah gaya hai dost!
jahan main rah ke tere KHwab dekh sakta tha
- Book : Tasteer (Pg. 290)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.