mere nasib ka hai ya sitara KHwab ka hai
mire nasīb kā hai yā sitāra ḳhvāb kā hai
safar ke baab meñ lekin sahārā ḳhvāb kā hai
tire ḳhayāl kā sahrā ubuur karne meñ
hai naf.a dard kā lekin ḳhasāra ḳhvāb kā hai
jale-bujhe hue ḳheme kī raakh meñ jis ko
sitāre DhūñDte haiñ vo sharāra ḳhvāb kā hai
ḳhudā kare ki khule ek din zamāne par
mirī kahānī meñ jo isti.āra ḳhvāb kā hai
baras rahā hai zamīn-e-suḳhan pe jo 'ḳhurshīd'
kisī malāl kā yā abr-pāra ḳhvāb kā hai
mere nasib ka hai ya sitara KHwab ka hai
safar ke bab mein lekin sahaara KHwab ka hai
tere KHayal ka sahra ubur karne mein
hai nafa dard ka lekin KHasara KHwab ka hai
jale-bujhe hue KHeme ki rakh mein jis ko
sitare DhunDte hain wo sharara KHwab ka hai
KHuda kare ki khule ek din zamane par
meri kahani mein jo istiara KHwab ka hai
baras raha hai zamin-e-suKHan pe jo 'KHurshid'
kisi malal ka ya abr-para KHwab ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.