Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere miTane ki tadbir thi hijab na tha

Ehsan Danish

mere miTane ki tadbir thi hijab na tha

Ehsan Danish

mire miTāne tadbīr thī hijāb na thā

vagarna kaun se din husn be-naqāb na thā

agarche nāzkash-e-esāġhar-e-sharāb na thā

ḳhumār-ḳhāne meñ mujh koī ḳharāb na thā

khulā tilism-e-tamannā to khul gayā ye bhī

ki ik fareb-e-nazar thā tirā shabāb na thā

ḳhayāl-e-dost tirī jalva-tābiyoñ qasam

jo na thā mirī duniyā meñ āftāb na thā

tire firāq rāteñ thiiñ is qadar maġhmūm

ki dāġh-e-ḳhātir-e-mahzūñ thā māhtāb na thā

burā ho nāla-e-paiham kuchh dinoñ pahle

ḳhamosh raat ke dil meñ ye pech-o-tāb na thā

nigāh milte ġhash khā ke gir paḌīñ nazreñ

thī ek barq-e-mushakkal tirā shabāb na thā

azal ke din se haiñ ham mast-e-jalva-e-sāqī

hamāre sāmne kis roz āftāb na thā

kuchh apne sāz-e-nafas na qadr ne

ki is rabāb se behtar koī rabāb na thā

dil-e-ḳharāb 'ehsān' ab ḳhudā-hāfiz

ḳharāb thā magar aisā kabhī ḳharāb na thā

mere miTane ki tadbir thi hijab na tha

wagarna kaun se din husn be-naqab na tha

agarche nazkash-e-esaghar-e-sharab na tha

KHumar-KHane mein mujh sa koi KHarab na tha

khula tilism-e-tamanna to khul gaya ye bhi

ki ek fareb-e-nazar tha tera shabab na tha

KHayal-e-dost teri jalwa-tabiyon ki qasam

jo tu na tha meri duniya mein aaftab na tha

tere firaq ki raaten thin is qadar maghmum

ki dagh-e-KHatir-e-mahzun tha mahtab na tha

bura ho nala-e-paiham ka kuchh dinon pahle

KHamosh raat ke dil mein ye pech-o-tab na tha

nigah milte hi ghash kha ke gir paDin nazren

thi ek barq-e-mushakkal tera shabab na tha

azal ke din se hain hum mast-e-jalwa-e-saqi

hamare samne kis roz aaftab na tha

kuchh apne saz-e-nafas ki na qadr ki tu ne

ki is rabab se behtar koi rabab na tha

dil-e-KHarab ka 'ehsan' ab KHuda-hafiz

KHarab tha magar aisa kabhi KHarab na tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now