Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

matlab ke liye hain na maani ke liye hain

Mahtab Haider Naqvi

matlab ke liye hain na maani ke liye hain

Mahtab Haider Naqvi

MORE BYMahtab Haider Naqvi

    matlab ke liye haiñ na ma.ānī ke liye haiñ

    ye sher tabī.at ravānī ke liye haiñ

    vo chashm agar sehr-bayānī ke liye hai

    ye lab bhī mirī tishna-dahānī ke liye haiñ

    jo mere shab-o-roz meñ shāmil nahīñ the

    kirdār vahī merī kahānī ke liye haiñ

    ye daaġh mohabbat nishānī ke alāva

    ai ishq tirī marsiya-ḳhvānī ke liye haiñ

    aatī hai sukūt-e-sahar-o-shām āvāz

    dar-asl to ham naql-e-makānī ke liye haiñ

    jo rañg gul o laala o nasrīñ se haiñ mansūb

    vo rañg ab āshufta-bayānī ke liye haiñ

    matlab ke liye hain na maani ke liye hain

    ye sher tabiat ki rawani ke liye hain

    wo chashm agar sehr-bayani ke liye hai

    ye lab bhi meri tishna-dahani ke liye hain

    jo mere shab-o-roz mein shamil hi nahin the

    kirdar wahi meri kahani ke liye hain

    ye dagh mohabbat ki nishani ke alawa

    ai ishq teri marsiya-KHwani ke liye hain

    aati hai sukut-e-sahar-o-sham ki aawaz

    dar-asl to hum naql-e-makani ke liye hain

    jo rang gul o lala o nasrin se hain mansub

    wo rang ab aashufta-bayani ke liye hain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mahtab Haider Naqvi

    Mahtab Haider Naqvi

    RECITATIONS

    Mahtab Haider Naqvi

    Mahtab Haider Naqvi,

    Mahtab Haider Naqvi

    matlab ke liye hain na maani ke liye hain Mahtab Haider Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now