mast aankhon ki qasam khane ka mausam aa gaya
mast āñkhoñ kī qasam khāne kā mausam aa gayā
jaam ko shīshe se Takrāne kā mausam aa gayā
'ismat-e-tauba ko Thukrāne kā mausam aa gayā
aa gayā pī kar bahak jaane kā mausam aa gayā
phir ghaTā chhā.ī bahak jaane kā mausam aa gayā
jaam kā shīshe kā paimāne kā mausam aa gayā
hashr kā paiġhām le kar uTh rahī hai chashm-e-dost
dil kī har dhaḌkan pe itrāne kā mausam aa gayā
ye fazā ye chāñdnī rāteñ ye daur-e-jām-o-mai
mastiyoñ meñ ġharq ho jaane kā mausam aa gayā
ho rahī haiñ jam' ik markaz pe dil kī vahshateñ
ham-nashīñ shāyad bahār aane kā mausam aa gayā
muskurātā hai koī chhup chhup ke dil kī aaḌ meñ
hasratoñ ke raqs farmāne kā mausam aa gayā
rafta rafta vāqi'āt-e-dard yaad aane lage
chupke chupke ashk barsāne kā mausam aa gayā
dil meñ 'aish-e-mai-kada añgḌā.iyāñ lene lagā
har ġham-e-duniyā ko Thukrāne kā mausam aa gayā
baḌh rahā hai ḳhud-ba-ḳhud 'iqbāl' josh-e-be-ḳhudī
'ālam-e-imkāñ pe chhā jaane kā mausam aa gayā
mast aankhon ki qasam khane ka mausam aa gaya
jam ko shishe se Takrane ka mausam aa gaya
'ismat-e-tauba ko Thukrane ka mausam aa gaya
aa gaya pi kar bahak jaane ka mausam aa gaya
phir ghaTa chhai bahak jaane ka mausam aa gaya
jam ka shishe ka paimane ka mausam aa gaya
hashr ka paigham le kar uTh rahi hai chashm-e-dost
dil ki har dhaDkan pe itrane ka mausam aa gaya
ye faza ye chandni raaten ye daur-e-jam-o-mai
mastiyon mein gharq ho jaane ka mausam aa gaya
ho rahi hain jam' ek markaz pe dil ki wahshaten
ham-nashin shayad bahaar aane ka mausam aa gaya
muskuraata hai koi chhup chhup ke dil ki aaD mein
hasraton ke raqs farmane ka mausam aa gaya
rafta rafta waqi'at-e-dard yaad aane lage
chupke chupke ashk barsane ka mausam aa gaya
dil mein 'aish-e-mai-kada angDaiyan lene laga
har gham-e-duniya ko Thukrane ka mausam aa gaya
baDh raha hai KHud-ba-KHud 'iqbaal' josh-e-be-KHudi
'alam-e-imkan pe chha jaane ka mausam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.