Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

MORE BYHakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

    martā bhalā hai zabt tāqat agar na ho

    kitnā dard-e-dil ho magar chashm-e-tar na ho

    vo sar kyā ki jis meñ tumhārā na ho ḳhayāl

    vo dil kyā ki jis meñ tumhārā guzar na ho

    aisī to be-asar nahīñ betābi-e-firāq

    naale karūñ maiñ aur kisī ko ḳhabar na ho

    mil jaao tum to shab ko baḌhā leñge tā-abad

    māñgeñge ye duā ki ilāhī sahar na ho

    zulf un apne ruḳh pe pareshāñ kareñge ham

    Dar hai shab-e-visāl kahīñ muḳhtasar na ho

    maiñ huuñ vo tufta-dil huā āftāb par

    merā gumāñ ki aah merī sharar na ho

    'shaidā' ko tere ḳhauf kisī nahīñ yahāñ

    saarā jahāñ ho us adū to magar na ho

    marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho

    kitna hi dard-e-dil ho magar chashm-e-tar na ho

    wo sar hi kya ki jis mein tumhaara na ho KHayal

    wo dil hi kya ki jis mein tumhaara guzar na ho

    aisi to be-asar nahin betabi-e-firaq

    nale karun main aur kisi ko KHabar na ho

    mil jao tum to shab ko baDha lenge ta-abad

    mangenge ye dua ki ilahi sahar na ho

    zulf un ki apne ruKH pe pareshan karenge hum

    Dar hai shab-e-visal kahin muKHtasar na ho

    main hun wo tufta-dil ki hua aaftab par

    mera guman ki aah ka meri sharar na ho

    'shaida' ko tere KHauf kisi ka nahin yahan

    sara jahan ho us ka adu to magar na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now