Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marhala raat ka jab aaega

Qateel Shifai

marhala raat ka jab aaega

Qateel Shifai

marhala raat jab aa.egā

jism saa.e ko taras jā.egā

chal paḌī rasm jo kaj-fahmī

baat kyā phir koī kar pā.egā

sach se katrā.e agar log yahāñ

lafz mafhūm se katrā.egā

e'tibār us hamesha karnā

vo to jhūTī bhī qasam khā.egā

na hogī to phir ai shām-e-firāq

kaun aa kar hameñ bahalā.egā

ham use yaad bahut ā.eñge

jab use bhī koī Thukrā.egā

kā.enāt us mirī zaat meñ hai

mujh ko kho kar vo kise pā.egā

na rahe jab vo bhale din bhī 'qatīl'

ye zamāna bhī guzar jā.egā

marhala raat ka jab aaega

jism sae ko taras jaega

chal paDi rasm jo kaj-fahmi ki

baat kya phir koi kar paega

sach se katrae agar log yahan

lafz mafhum se katraega

e'tibar us ka hamesha karna

wo to jhuTi bhi qasam khaega

tu na hogi to phir ai sham-e-firaq

kaun aa kar hamein bahalaega

hum use yaad bahut aaenge

jab use bhi koi Thukraega

kaenat us ki meri zat mein hai

mujh ko kho kar wo kise paega

na rahe jab wo bhale din bhi 'qatil'

ye zamana bhi guzar jaega

Source :
  • Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 123)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now