Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai

Aftab Hussain

maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai

Aftab Hussain

MORE BYAftab Hussain

    maqām-e-shauq se aage bhī ik rasta nikaltā hai

    kaheñ kyā silsila dil kahāñ par nikaltā hai

    mizha tak aatā jaatā hai badan sab lahū khiñch kar

    kabhī kyā is tarah bhī yaad kāñTā nikaltā hai

    dukān-e-dil baḌhāte haiñ hisāb-e-besh-o-kam kar lo

    hamāre naam par jis jis bhī jitnā nikaltā hai

    abhī hai husn meñ husn-e-nazar kār-farmā.ī

    abhī se kyā batā.eñ ham ki vo kaisā nikaltā hai

    miyān-e-shahr haiñ ā.inoñ ke rū-ba-rū haiñ ham

    jise bhī dekhte haiñ kuchh hamīñ jaisā nikaltā hai

    ye dil kyuuñ Duub jaatā hai usī se pūchh lūñgā maiñ

    sitāra shām-e-hijrāñ idhar bhī aa nikaltā hai

    dil-e-muztar vafā ke baab meñ ye jald-bāzī kyā

    zarā ruk jaa.eñ aur dekheñ natīja kyā nikaltā hai

    maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai

    kahen kya silsila dil ka kahan par ja nikalta hai

    mizha tak aata jata hai badan ka sab lahu khinch kar

    kabhi kya is tarah bhi yaad ka kanTa nikalta hai

    dukan-e-dil baDhate hain hisab-e-besh-o-kam kar lo

    hamare nam par jis jis ka bhi jitna nikalta hai

    abhi hai husn mein husn-e-nazar ki kar-farmai

    abhi se kya bataen hum ki wo kaisa nikalta hai

    miyan-e-shahr hain ya aainon ke ru-ba-ru hain hum

    jise bhi dekhte hain kuchh hamin jaisa nikalta hai

    ye dil kyun Dub jata hai usi se puchh lunga main

    sitara sham-e-hijran ka idhar bhi aa nikalta hai

    dil-e-muztar wafa ke bab mein ye jald-bazi kya

    zara ruk jaen aur dekhen natija kya nikalta hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now