manzil-e-gham ko par kar lenge
manzil-e-ġham ko paar kar leñge
dard-e-dil hī ko yaar kar leñge
tum nahīñ aaoge ḳhabar hai hameñ
phir bhī ham intizār kar leñge
jab tū jā.egā chhoḌ kar ham ko
terī yādoñ se pyaar kar leñge
ḳhuun chhiḌkeñge sūkhī Dāloñ par
ham ḳhizāñ ko bahār kar leñge
tum milo to sahī kahīñ ham ko
ishq be-iḳhtiyār kar leñge
kuchh nahīñ mil sakā hameñ 'māmūn'
tum miloge to pyaar kar leñge
manzil-e-gham ko par kar lenge
dard-e-dil hi ko yar kar lenge
tum nahin aaoge KHabar hai hamein
phir bhi hum intizar kar lenge
jab tu jaega chhoD kar hum ko
teri yaadon se pyar kar lenge
KHun chhiDkenge sukhi Dalon par
hum KHizan ko bahaar kar lenge
tum milo to sahi kahin hum ko
ishq be-iKHtiyar kar lenge
kuchh nahin mil saka hamein 'mamun'
tum miloge to pyar kar lenge
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 141)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.