majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
majnūñ se jo nafrat hai dīvānī hai tū lailā
vo ḳhaak uḌātā hai lekin nahīñ dil mailā
ġhul-shor kahāñ kā hai sun to sahī o zālim
kyā hai tire kūcha meñ kaisā hai ye vāvailā
ab gardish-e-daurāñ ko le aate haiñ qaabū meñ
ham daur chalāte haiñ saaqī se kaho mai lā
ham haiñ to na rakheñge itnā tujhe afsurda
chal naġhma-e-'nātiq' sun sahrā-e-junūñ nai lā
majnun se jo nafrat hai diwani hai tu laila
wo KHak uData hai lekin nahin dil maila
ghul-shor kahan ka hai sun to sahi o zalim
kya hai tere kucha mein kaisa hai ye wawaila
ab gardish-e-dauran ko le aate hain qabu mein
hum daur chalate hain saqi se kaho mai la
hum hain to na rakhenge itna tujhe afsurda
chal naghma-e-'natiq' sun sahra-e-junun nai la
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.