chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
chāhat meñ kyā duniyā-dārī ishq meñ kaisī majbūrī
logoñ kā kyā samjhāne do un kī apnī majbūrī
maiñ ne dil kī baat rakhī aur tū ne duniyā vāloñ kī
merī arz bhī majbūrī thī un kā hukm bhī majbūrī
rok sako to pahlī bārish kī būñdoñ ko tum roko
kachchī miTTī to mahkegī hai miTTī kī majbūrī
zāt-kade meñ pahroñ bāteñ aur milīñ to mohr ba-lab
jabr-e-vaqt ne baḳhshī ham ko ab ke kaisī majbūrī
jab tak hañstā gaatā mausam apnā hai sab apne haiñ
vaqt paḌe to yaad aa jaatī hai masnūī majbūrī
ik āvāra bādal se kyuuñ maiñ ne saaya māñgā thā
merī bhī ye nādānī thī us kī bhī thī majbūrī
muddat guzrī ik va.ade par aaj bhī qaa.em haiñ 'mohsin'
ham ne saarī umr nibāhī apnī pahlī majbūrī
chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi miTTi to mahkegi hai miTTi ki majburi
zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-waqt ne baKHshi hum ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain
waqt paDe to yaad aa jati hai masnui majburi
ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'
hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.