main usko bhul gaya tha wo yaad sa aaya
maiñ us ko bhuul gayā thā vo yaad sā aayā
zamīñ hilī to maiñ samjhā ki zalzala aayā
phir is ke ba.ad ka.ī rāste ka.ī ghar the
vo moḌ tak mujhe ruk ruk ke dekhtā aayā
maiñ us ko DhūñDne niklā to mere jaane ke ba.ad
galī galī mujhe ghar tak vo pūchhtā aayā
judā hue to zamān o makāñ ke buad ke saath
jo raah meñ thā diloñ meñ vo fāsla aayā
maiñ ā.īna to nahīñ huuñ pa ek soch meñ huuñ
tū ḳhud-numā.ī ke jauhar kahāñ chhupā aayā
'salīm' tark-e-rah-o-rasm tark-e-ishq nahīñ
jidhar se guzre udhar us kā rāsta aayā
main us ko bhul gaya tha wo yaad sa aaya
zamin hili to main samjha ki zalzala aaya
phir is ke baad kai raste kai ghar the
wo moD tak mujhe ruk ruk ke dekhta aaya
main us ko DhunDne nikla to mere jaane ke baad
gali gali mujhe ghar tak wo puchhta aaya
juda hue to zaman o makan ke buad ke sath
jo rah mein tha dilon mein wo fasla aaya
main aaina to nahin hun pa ek soch mein hun
tu KHud-numai ke jauhar kahan chhupa aaya
'salim' tark-e-rah-o-rasm tark-e-ishq nahin
jidhar se guzre udhar us ka rasta aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.