Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main siyah-ru apne Khaaliq se jo neamat mangta

Imdad Ali Bahr

main siyah-ru apne Khaaliq se jo neamat mangta

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    maiñ siyah-rū apne ḳhāliq se jo ne.amat māñgtā

    apnā muñh dhone ko pahle āb-e-ḳhajlat māñgtā

    mere rūkhe-sūkhe TukḌe mujh ko kar dete haiñ ser

    ḳhaak bhar detā falak muñh meñ jo ne.amat māñgtā

    ḳhalq par hotī jo ādāb-e-shahādat āshkār

    murġh-e-bismil bhī taḌapne ijāzat māñgtā

    rahm ham-āfat-rasīdoñ par jo kartā āsmān

    saañs lene hujūm-e-ġham meñ mohlat māñgtā

    roltā motī jo kartā kisht-kārī ḳhair

    hun barastā maiñ agar bārān-e-rahmat māñgtā

    past-baḳhtī ne mujhe mahfūz rakkhā shukr hai

    TuuT paḌtā āsmāñ sar par jo rif.at māñgtā

    qadr mere gauhar-e-dil kuchh us but ne na

    but-kada līlām hotā maiñ jo qīmat māñgtā

    ek bosa māñgne par yaar ruḳh phir gayā

    jaan maiñ detā agar vo be-muravvat māñgtā

    maiñ agar āzādgī meñ sarv ko kartā murīd

    terā guldasta qad tuubā se bai.at māñgtā

    dekh paatā kushtagān-e-ishq rutba agar

    paanī kar ḳhizar jām-e-shahādat māñgtā

    dil meñ paḌte zaḳhm agar gulzār kartā havas

    maiñ lahū rotā agar bārān-e-rahmat māñgtā

    kab rahā sīmāb jab sīmāb chāñdī ho gayā

    qalb māhiyyat mirī hotī jo daulat māñgtā

    kyā ḳhabar thī sub.h ho jā.egī tere nuur se

    shaam se merā charāġh-e-ḳhāna ruḳhsat māñgtā

    aañkh jhuk jaatī nazar aatā agar ḳhvāb meñ

    tere ḳhāl-e-ruḳh se yūsuf dāġh-e-hasrat māñgtā

    khā.iye kyūñkar nivāle motiyoñ ke ai havas

    tā.ir-e-dil hans ai kaash qismat māñgtā

    josh-e-vahshat le chalā itnī na mohlat de mujhe

    koh-o-sahrā ke azīzoñ se ruḳhsat māñgtā

    dushmanī rakhtā hai arbāb-e-manash se āsmāñ

    haath maltā umr-bhar dam-bhar jo rāhat māñgtā

    be diye mumkin nahīñ duniyā meñ ho ijrā-e-kār

    āmiloñ se ism-e-āzam bhī hai dāvat māñgtā

    ḳhūn-e-āshiq par kamar bāñdhe hue haiñ ḳhūb-rū

    teġh-e-misrī halq par hotī jo sharbat māñgtā

    kyā ḳhabar thī āsiyoñ bhī duā maqbūl hai

    'bahr' duniyā ke bakheḌe se farāġhat māñgtā

    main siyah-ru apne KHaliq se jo neamat mangta

    apna munh dhone ko pahle aab-e-KHajlat mangta

    mere rukhe-sukhe TukDe mujh ko kar dete hain ser

    KHak bhar deta falak munh mein jo neamat mangta

    KHalq par hoti jo aadab-e-shahadat aashkar

    murgh-e-bismil bhi taDapne ki ijazat mangta

    rahm ham-afat-rasidon par jo karta aasman

    sans lene ki hujum-e-gham mein mohlat mangta

    rolta moti jo karta kisht-kari KHair ki

    hun barasta main agar baran-e-rahmat mangta

    past-baKHti ne mujhe mahfuz rakkha shukr hai

    TuT paDta aasman sar par jo rifat mangta

    qadr mere gauhar-e-dil ki kuchh us but ne na ki

    but-kada lilam hota main jo qimat mangta

    ek bosa mangne par yar ka ruKH phir gaya

    jaan main deta agar wo be-murawwat mangta

    main agar aazadgi mein sarw ko karta murid

    tera guldasta sa qad tuba se baiat mangta

    dekh pata kushtagan-e-ishq ka rutba agar

    pani pi pi kar KHizar jam-e-shahadat mangta

    dil mein paDte zaKHm agar gulzar ki karta hawas

    main lahu rota agar baran-e-rahmat mangta

    kab raha simab jab simab chandi ho gaya

    qalb mahiyyat meri hoti jo daulat mangta

    kya KHabar thi subh ho jaegi tere nur se

    sham se mera charagh-e-KHana ruKHsat mangta

    aankh jhuk jati nazar aata agar tu KHwab mein

    tere KHal-e-ruKH se yusuf dagh-e-hasrat mangta

    khaiye kyunkar niwale motiyon ke ai hawas

    tair-e-dil hans ki ai kash qismat mangta

    josh-e-wahshat le chala itni na mohlat de mujhe

    koh-o-sahra ke azizon se tu ruKHsat mangta

    dushmani rakhta hai arbab-e-manash se aasman

    hath malta umr-bhar dam-bhar jo rahat mangta

    be diye mumkin nahin duniya mein ho ijra-e-kar

    aamilon se ism-e-azam bhi hai dawat mangta

    KHun-e-ashiq par kamar bandhe hue hain KHub-ru

    tegh-e-misri halq par hoti jo sharbat mangta

    kya KHabar thi aasiyon ki bhi dua maqbul hai

    'bahr' duniya ke bakheDe se faraghat mangta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now