main pa saka na kabhi is KHalish se chhuTkara
maiñ pā sakā na kabhī is ḳhalish se chhuTkārā
vo mujh se jiit bhī saktā thā jaane kyuuñ haarā
baras ke khul ga.e aañsū nithar ga.ī hai fazā
chamak rahā hai sar-e-shām dard kā taarā
kisī kī aañkh se Tapkā thā ik amānat hai
mirī hathelī pe rakkhā huā ye añgārā
jo par sameTe to ik shāḳh bhī nahīñ paa.ī
khule the par to mirā āsmān thā saarā
vo saañp chhoḌ de Dasnā ye maiñ bhī kahtā huuñ
magar na chhoḌeñge log us ko gar na phunkārā
main pa saka na kabhi is KHalish se chhuTkara
wo mujh se jit bhi sakta tha jaane kyun haara
baras ke khul gae aansu nithar gai hai faza
chamak raha hai sar-e-sham dard ka tara
kisi ki aankh se Tapka tha ek amanat hai
meri hatheli pe rakkha hua ye angara
jo par sameTe to ek shaKH bhi nahin pai
khule the par to mera aasman tha sara
wo sanp chhoD de Dasna ye main bhi kahta hun
magar na chhoDenge log us ko gar na phunkara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.