Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lambi raat se jab mili uski zulf-e-daraaz

Ameeq Hanafi

lambi raat se jab mili uski zulf-e-daraaz

Ameeq Hanafi

MORE BYAmeeq Hanafi

    lambī raat se jab milī us zulf-e-darāz

    khul kar saarī gutthiyāñ phir se ban ga.iiñ raaz

    us ik āvāz se sharmāyā sañgīt

    sārañgī soz kyā kyā sitār saaz

    merā qaa.il ho gayā ye saarā sansār

    rañg-e-nāz meñ jab milā merā rañg-e-niyāz

    sāzoñ sañgīt kyā pāyal jhankār

    kaun sune is shor meñ dil terī āvāz

    un āñkhoñ meñ Daal kar jab āñkheñ us raat

    maiñ Duubā to mil ga.e Duube hue jahāz

    lambi raat se jab mili us ki zulf-e-daraaz

    khul kar sari gutthiyan phir se ban gain raaz

    us ki ek aawaz se sharmaya sangit

    sarangi ka soz kya kya sitar ka saz

    mera qail ho gaya ye sara sansar

    rang-e-naz mein jab mila mera rang-e-niyaz

    sazon ka sangit kya payal ki jhankar

    kaun sune is shor mein dil teri aawaz

    un aankhon mein Dal kar jab aankhen us raat

    main Duba to mil gae Dube hue jahaz

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    lambi raat se jab mili uski zulf-e-daraaz Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now