laja laja ke sitaron se mang bharti hai
lajā lajā ke sitāroñ se maañg bhartī hai
urūs-e-shām ye kis ke liye sañvartī hai
vo apnī shoḳhi-e-raftār-e-nāz meñ gum hai
use ḳhabar hī kahāñ kis pe kyā guzartī hai
javāb us ke savāloñ kā de koī kab tak
ye zindagī to musalsal savāl kartī hai
us aarzū ne hameñ bhī kiyā asiir apnā
vo aarzū jo sadā dil meñ ghuT ke martī hai
ab aa ga.e ho to Thahro ḳharāba-e-dil meñ
ye vo jagah hai jahāñ zindagī sañvartī hai
ye chhaTne vaale haiñ bādal jo kaale kaale haiñ
isī fazā meñ vo raushan dhanak nikhartī hai
koī paḌāv nahīñ is safar meñ ai 'maḳhmūr'
jo chal paḌe to havā phir kahāñ Thahartī hai
laja laja ke sitaron se mang bharti hai
urus-e-sham ye kis ke liye sanwarti hai
wo apni shoKHi-e-raftar-e-naz mein gum hai
use KHabar hi kahan kis pe kya guzarti hai
jawab us ke sawalon ka de koi kab tak
ye zindagi to musalsal sawal karti hai
us aarzu ne hamein bhi kiya asir apna
wo aarzu jo sada dil mein ghuT ke marti hai
ab aa gae ho to Thahro KHaraba-e-dil mein
ye wo jagah hai jahan zindagi sanwarti hai
ye chhaTne wale hain baadal jo kale kale hain
isi faza mein wo raushan dhanak nikharti hai
koi paDaw nahin is safar mein ai 'maKHmur'
jo chal paDe to hawa phir kahan Thaharti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.