Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kashish husn-e-be-panah mein hai

Jigar Moradabadi

kya kashish husn-e-be-panah mein hai

Jigar Moradabadi

kyā kashish husn-e-be-panāh meñ hai

jo qadam hai usī raah meñ hai

mai-kade meñ na ḳhānqāh meñ hai

jo tajallī dil-e-tabāh meñ hai

haa.e vo rāz-e-ġham ki jo ab tak

tere dil meñ mirī nigāh meñ hai

ishq meñ kaisī manzil-e-maqsūd

vo bhī ik gard hai jo raah meñ hai

maiñ jahāñ huuñ tire ḳhayāl meñ huuñ

jahāñ hai mirī nigāh meñ hai

husn ko bhī kahāñ nasīb 'jigar'

vo jo ik shai mirī nigāh meñ hai

kya kashish husn-e-be-panah mein hai

jo qadam hai usi ki rah mein hai

mai-kade mein na KHanqah mein hai

jo tajalli dil-e-tabah mein hai

hae wo raaz-e-gham ki jo ab tak

tere dil mein meri nigah mein hai

ishq mein kaisi manzil-e-maqsud

wo bhi ek gard hai jo rah mein hai

main jahan hun tere KHayal mein hun

tu jahan hai meri nigah mein hai

husn ko bhi kahan nasib 'jigar'

wo jo ek shai meri nigah mein hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now