kumbe ka bar uThata tha tanha jo jaan par
kumbe kā baar uThātā thā tanhā jo jaan par
būḌhā huā to bojh banā ḳhāndān par
lamha-ba-lamha paañv se lipTī haiñ hijrateñ
kaise lagāte naam kī taḳhtī makān par
ye kyā har ek baat bayāñ ho zabān se
titlī ham ek chhoḌ chale pūl-dān par
kuchh nudrat-e-ḳhayāl ho kuchh fikr-e-be-misāl
kyuuñ sirf zor dete ho zor-e-bayān par
kumbe ka bar uThata tha tanha jo jaan par
buDha hua to bojh bana KHandan par
lamha-ba-lamha panw se lipTi hain hijraten
kaise lagate nam ki taKHti makan par
ye kya har ek baat bayan ho zaban se
titli hum ek chhoD chale pul-dan par
kuchh nudrat-e-KHayal ho kuchh fikr-e-be-misal
kyun sirf zor dete ho zor-e-bayan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.