Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho

Ibn e Insha

kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho

Ibn e Insha

kuchh kahne vaqt nahīñ ye kuchh na kaho ḳhāmosh raho

ai logo ḳhāmosh raho haañ ai logo ḳhāmosh raho

sach achchhā par us ke jilau meñ zahr hai ik pyāla bhī

pāgal ho kyuuñ nāhaq ko suqrāt bano ḳhāmosh raho

un ye kahnā sūraj dhartī ke phere kartā hai

sar-āñkhoñ par sūraj ko ghūmne do ḳhāmosh raho

mahbas meñ kuchh habs hai aur zanjīr aahan chubhtā hai

phir socho haañ phir socho haañ phir socho ḳhāmosh raho

garm aañsū aur ThanDī aaheñ man meñ kyā kyā mausam haiñ

is bagiyā ke bhed na kholo sair karo ḳhāmosh raho

āñkheñ muuñd kināre baiTho man ke rakkho band kivāḌ

'inshā'-jī lo dhāgā lo aur lab lo ḳhāmosh raho

kuchh kahne ka waqt nahin ye kuchh na kaho KHamosh raho

ai logo KHamosh raho han ai logo KHamosh raho

sach achchha par us ke jilau mein zahr ka hai ek pyala bhi

pagal ho kyun nahaq ko suqraat bano KHamosh raho

un ka ye kahna suraj hi dharti ke phere karta hai

sar-ankhon par suraj hi ko ghumne do KHamosh raho

mahbas mein kuchh habs hai aur zanjir ka aahan chubhta hai

phir socho han phir socho han phir socho KHamosh raho

garm aansu aur ThanDi aahen man mein kya kya mausam hain

is bagiya ke bhed na kholo sair karo KHamosh raho

aankhen mund kinare baiTho man ke rakkho band kiwaD

'insha'-ji lo dhaga lo aur lab si lo KHamosh raho

Source :
  • Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 160)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now