Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi to aa ke rula de ki hans raha hun main

Shaz Tamkanat

koi to aa ke rula de ki hans raha hun main

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    koī to aa ke rulā de ki hañs rahā huuñ maiñ

    bahut dinoñ se ḳhushī ko taras rahā huuñ maiñ

    sahar os meñ bhīgā huā badan terā

    vo aañch hai ki chaman meñ jhulas rahā huuñ maiñ

    qadam qadam pe bikhartā chalā huuñ sahrā meñ

    sadā tarah makīn-e-jaras rahā huuñ maiñ

    koī ye kah de mirī aarzū ke motī se

    sadaf sadaf qasam hai baras rahā huuñ maiñ

    hayāt-e-ishq mujhe aaj ajnabī na samajh

    ki saaya saaya tire pesh-o-pas rahā huuñ maiñ

    nafas āmad-o-shud bhī hai sānehe tarah

    gavāh rah ki tirā ham-nafas rahā huuñ maiñ

    jahāñ bhī nuur milā khil uThā shafaq tarah

    jahāñ bhī aag milī ḳhār-o-ḳhas rahā huuñ maiñ

    koi to aa ke rula de ki hans raha hun main

    bahut dinon se KHushi ko taras raha hun main

    sahar ki os mein bhiga hua badan tera

    wo aanch hai ki chaman mein jhulas raha hun main

    qadam qadam pe bikharta chala hun sahra mein

    sada ki tarah makin-e-jaras raha hun main

    koi ye kah de meri aarzu ke moti se

    sadaf sadaf ki qasam hai baras raha hun main

    hayat-e-ishq mujhe aaj ajnabi na samajh

    ki saya saya tere pesh-o-pas raha hun main

    nafas ki aamad-o-shud bhi hai sanehe ki tarah

    gawah rah ki tera ham-nafas raha hun main

    jahan bhi nur mila khil uTha shafaq ki tarah

    jahan bhi aag mili KHar-o-KHas raha hun main

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    koi to aa ke rula de ki hans raha hun main Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now