Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi rafiq baham hi na ho to kya kije

Mustafa Zaidi

koi rafiq baham hi na ho to kya kije

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    koī rafīq baham na ho to kyā kiije

    kabhī kabhī tirā ġham na ho to kyā kiije

    hamārī raah judā hai ki aisī rāhoñ par

    rivāj-e-naqsh-e-qadam na ho to kyā kiije

    hameñ bhī bāda-gusārī se aar thī lekin

    sharāb zarf se kam na ho to kyā kiije

    tabāh hone armāñ sahī mohabbat meñ

    kisī ko ḳhū-e-sitam na ho to kyā kiije

    hamāre sher meñ roTī zikr bhī hogā

    kisī kisī ke shikam na ho to kyā kiije

    koi rafiq baham hi na ho to kya kije

    kabhi kabhi tera gham hi na ho to kya kije

    hamari rah juda hai ki aisi rahon par

    riwaj-e-naqsh-e-qadam hi na ho to kya kije

    hamein bhi baada-gusari se aar thi lekin

    sharab zarf se kam hi na ho to kya kije

    tabah hone ka arman sahi mohabbat mein

    kisi ko KHu-e-sitam hi na ho to kya kije

    hamare sher mein roTi ka zikr bhi hoga

    kisi kisi ke shikam hi na ho to kya kije

    Source :
    • Book : mauj mirii sadaf sadaf (Pg. 100)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now