koi bhi shakl mere dil mein utar sakti hai
koī bhī shakl mire dil meñ utar saktī hai
ik rifāqat meñ kahāñ umr guzar saktī hai
tujh se kuchh aur ta'alluq bhī zarūrī hai mirā
ye mohabbat to kisī vaqt bhī mar saktī hai
merī ḳhvāhish hai ki phūloñ se tujhe fat.h karūñ
varna ye kaam to talvār bhī kar saktī hai
ho agar mauj meñ ham jaisā koī andhā faqīr
ek sikke se bhī taqdīr sañvar saktī hai
sub.h-dam surḳh ujālā hai khule paanī meñ
chāñd kī laash kahīñ se bhī ubhar saktī hai
koi bhi shakl mere dil mein utar sakti hai
ek rifaqat mein kahan umr guzar sakti hai
tujh se kuchh aur ta'alluq bhi zaruri hai mera
ye mohabbat to kisi waqt bhi mar sakti hai
meri KHwahish hai ki phulon se tujhe fath karun
warna ye kaam to talwar bhi kar sakti hai
ho agar mauj mein hum jaisa koi andha faqir
ek sikke se bhi taqdir sanwar sakti hai
subh-dam surKH ujala hai khule pani mein
chand ki lash kahin se bhi ubhar sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.