Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi surat numud-e-soz-e-pinhani nahin jati

Jigar Moradabadi

kisi surat numud-e-soz-e-pinhani nahin jati

Jigar Moradabadi

kisī sūrat numūd-e-soz-e-pinhānī nahīñ jaatī

bujhā jaatā hai dil chehre tābānī nahīñ jaatī

nahīñ jaatī kahāñ tak fikr-e-insānī nahīñ jaatī

magar apnī haqīqat aap pahchānī nahīñ jaatī

nigāhoñ ko ḳhizāñ-nā-āshnā banñā to aa jaa.e

chaman jab tak chaman hai jalva-sāmānī nahīñ jaatī

pashīmān-e-sitam vo dil dil meñ rahte haiñ lekin

ḳhushā husne ki tarz-e-nā-pashīmānī nahīñ jaatī

mizāj-e-ahl-e-dil be-kaif-o-mastī rah nahīñ saktā

ki jaise nik.hat-e-gul se pareshānī nahīñ jaatī

sadāqat ho to dil sīnoñ se khiñchne lagte haiñ vaa.iz

haqīqat ḳhud ko manvā letī hai maanī nahīñ jaatī

bulandī chāhiye insān fitrat meñ poshīda

koī ho bhes lekin shān-e-sultānī nahīñ jaatī

ga.e vo din ki dil sarmāya-dār-e-dard-e-paiham thā

magar āñkhoñ ab tak mīr-sāmānī nahīñ jaatī

jise raunaq tire qadmoñ ne de kar chhīn raunaq

vo laakh ābād ho us ghar vīrānī nahīñ jaatī

vo yuuñ dil se guzarte haiñ ki aahaT tak nahīñ hotī

vo yuuñ āvāz dete haiñ ki pahchānī nahīñ jaatī

mujhe to kar diyā sairāb saaqī ne mire lekin

mirī sairābiyoñ tishna-sāmānī nahīñ jaatī

nahīñ ma.alūm kis aalam meñ husn-e-yār dekhā thā

koī aalam ho lekin dil hairānī nahīñ jaatī

jale jaate haiñ baḌh baḌh kar miTe jaate haiñ gir gir kar

huzūr-e-sham.a parvānoñ nādānī nahīñ jaatī

mohabbat meñ ik aisā vaqt bhī dil par guzartā hai

ki aañsū ḳhushk ho jaate haiñ tuġhyānī nahīñ jaatī

'jigar' vo bhī ze-sar-tā-pā mohabbat mohabbat haiñ

magar un mohabbat saaf pahchānī nahīñ jaatī

kisi surat numud-e-soz-e-pinhani nahin jati

bujha jata hai dil chehre ki tabani nahin jati

nahin jati kahan tak fikr-e-insani nahin jati

magar apni haqiqat aap pahchani nahin jati

nigahon ko KHizan-na-ashna banna to aa jae

chaman jab tak chaman hai jalwa-samani nahin jati

pashiman-e-sitam wo dil hi dil mein rahte hain lekin

KHusha husne ki tarz-e-na-pashimani nahin jati

mizaj-e-ahl-e-dil be-kaif-o-masti rah nahin sakta

ki jaise nikhat-e-gul se pareshani nahin jati

sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz

haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati

bulandi chahiye insan ki fitrat mein poshida

koi ho bhes lekin shan-e-sultani nahin jati

gae wo din ki dil sarmaya-dar-e-dard-e-paiham tha

magar aankhon ki ab tak mir-samani nahin jati

jise raunaq tere qadmon ne de kar chhin li raunaq

wo lakh aabaad ho us ghar ki virani nahin jati

wo yun dil se guzarte hain ki aahaT tak nahin hoti

wo yun aawaz dete hain ki pahchani nahin jati

mujhe to kar diya sairab saqi ne mere lekin

meri sairabiyon ki tishna-samani nahin jati

nahin malum kis aalam mein husn-e-yar dekha tha

koi aalam ho lekin dil ki hairani nahin jati

jale jate hain baDh baDh kar miTe jate hain gir gir kar

huzur-e-shama parwanon ki nadani nahin jati

mohabbat mein ek aisa waqt bhi dil par guzarta hai

ki aansu KHushk ho jate hain tughyani nahin jati

'jigar' wo bhi ze-sar-ta-pa mohabbat hi mohabbat hain

magar un ki mohabbat saf pahchani nahin jati

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now