kise batate ki manzar nigah mein kya tha
kise batāte ki manzar nigāh meñ kyā thā
har ek rañg meñ apnā hī bas tamāshā thā
ham aaj tak to koī imtiyāz kar na sake
yahāñ to jo bhī milā hai vo tere jaisā thā
ajiib ḳhvāb thā ta.abīr kyā huī us kī
ki ek dariyā havāoñ ke ruḳh pe bahtā thā
na koī zulm na halchal na mas.ala koī
abhī kī baat hai maiñ hādse ugātā thā
har ek shaḳhs ne apne se munsalik samjhī
koī kahānī kisī kī kisī se kahtā thā
hamārā naam thā āshufta-hāl logoñ meñ
ḳhizāñ-pasand tabī.at kā apnī charchā thā
kise batate ki manzar nigah mein kya tha
har ek rang mein apna hi bas tamasha tha
hum aaj tak to koi imtiyaz kar na sake
yahan to jo bhi mila hai wo tere jaisa tha
ajib KHwab tha tabir kya hui us ki
ki ek dariya hawaon ke ruKH pe bahta tha
na koi zulm na halchal na masala koi
abhi ki baat hai main hadse ugata tha
har ek shaKHs ne apne se munsalik samjhi
koi kahani kisi ki kisi se kahta tha
hamara nam tha aashufta-haal logon mein
KHizan-pasand tabiat ka apni charcha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.