Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    kis se ahvāl kahūñ apnā maiñ ai yaar ki

    mil ke aġhyār se mujh se hai bezār ki

    na merī baat ko pūchhe hai na dekhe hai idhar

    ek din ye na kiyā āshiq-e-bīmār ki

    roz bā-dīda-tar ḳhaak basar phirtā hai

    na rahā shahr meñ ik kūcha-o-bāzār ki

    vahāñ haiñ ke jatātā hai ye musībat apnī

    aaj tak kul haiñ dil ko tere zinhār ki

    saḳht bekal hai nikal kūcha-e-ġham se ab to

    is qadar kab hai aziyyat sazā-vār ki

    yūñhī fariyād-kunāñ na.ara-zanān ḳhaak basar hai

    ik shab ā.ī.yo mere pas-e-dīvār ki

    chaah meñ terī Duubā hai kuñ.eñ meñ ġham ke

    juuñ zuleḳhā haiñ yūsuf talabgār ki

    merā ehsān hai merā āshiq-e-sādiq hai sanam

    jabki ye bhī na ho maiñ paḌhūñ ash'ār ki

    kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu

    mil ke aghyar se mujh se hai bezar ki tu

    na meri baat ko puchhe hai na dekhe hai idhar

    ek din ye na kiya aashiq-e-bimar ki tu

    roz ba-dida-tar KHak basar phirta hai

    na raha shahr mein ek kucha-o-bazar ki tu

    wahan hain ja ke jatata hai ye musibat apni

    aaj tak kul hain dil ko tere zinhaar ki tu

    saKHt bekal hai nikal kucha-e-gham se ab to

    is qadar kab hai aziyyat ka saza-war ki tu

    yunhi fariyaad-kunan nara-zanan KHak basar hai

    ek shab aaiyo mere pas-e-diwar ki tu

    chah mein teri hi Duba hai kunen mein gham ke

    jun zuleKHa hain yusuf ka talabgar ki tu

    mera ehsan hai mera aashiq-e-sadiq hai sanam

    jabki ye bhi na ho main paDhun ash'ar ki tu

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now