kis ne gham ke jal bikhere
kis ne ġham ke jaal bikhere
sub.h añdhere shaam savere
is duniyā meñ kaam na aa.e
aañsū tere aañsū mere
raat kī kaifiyyat yaad aa.ī
shaam huī hai sub.h savere
husn kā dāman phir bhī ḳhālī
ishq ne lākhoñ ashk bikhere
mujh ko duniyā se kyā matlab
dil bhī merā tum bhī mere
rañgīñ rañgīñ ishq kī rāheñ
manzil manzil husn ke Dere
aaj 'tabassum' sab ke lab par
afsāne haiñ mere tere
kis ne gham ke jal bikhere
subh andhere sham sawere
is duniya mein kaam na aae
aansu tere aansu mere
raat ki kaifiyyat yaad aai
sham hui hai subh sawere
husn ka daman phir bhi KHali
ishq ne lakhon ashk bikhere
mujh ko duniya se kya matlab
dil bhi mera tum bhi mere
rangin rangin ishq ki rahen
manzil manzil husn ke Dere
aaj 'tabassum' sab ke lab par
afsane hain mere tere
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 159)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.