kis kis tarah se mujhko na ruswa kiya gaya
kis kis tarah se mujh ko na rusvā kiyā gayā
ġhairoñ kā naam mere lahū se likhā gayā
niklā thā maiñ sadā-e-jaras kī talāsh meñ
dhoke se is sukūt ke sahrā meñ aa gayā
kyuuñ aaj us kā zikr mujhe ḳhush na kar sakā
kyuuñ aaj us kā naam mirā dil dukhā gayā
maiñ jism ke hisār meñ mahsūr huuñ abhī
vo ruuh kī hadoñ se bhī aage chalā gayā
is hādse ko sun ke karegā yaqīñ koī
sūraj ko ek jhoñkā havā kā bujhā gayā
kis kis tarah se mujh ko na ruswa kiya gaya
ghairon ka nam mere lahu se likha gaya
nikla tha main sada-e-jaras ki talash mein
dhoke se is sukut ke sahra mein aa gaya
kyun aaj us ka zikr mujhe KHush na kar saka
kyun aaj us ka nam mera dil dukha gaya
main jism ke hisar mein mahsur hun abhi
wo ruh ki hadon se bhi aage chala gaya
is hadse ko sun ke karega yaqin koi
suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.