ki wafa yar se ek ek jafa ke badle
kī vafā yaar se ek ek jafā ke badle
ham ne gin gin ke liye ḳhūn-e-vafā ke badle
kī supurd-e-dar-e-but-ḳhāna ajal ne mirī ḳhaak
kis ko sauñpā mujhe zālim ne ḳhudā ke badle
lutf-e-bedād hayā ġhussa taġhāful shoḳhī
rañg kyā kyā na talavvun ne adā ke badle
haa.e maiñ kushta-e-andāz huuñ yā rab kis kā
huur aa.ī mujhe lene ko qazā ke badle
tiir se teġh se ḳhanjar se sināñ se maarā
ka.ī pahlū mire qātil ne qazā ke badle
kafan ai gard-e-lahad dekh na mailā ho jaa.e
aaj hī ham ne ye kapḌe haiñ nahā ke badle
ishq allāh bachā.e vo maraz hai 'fānī'
zahr bīmār ko dete haiñ davā ke badle
ki wafa yar se ek ek jafa ke badle
hum ne gin gin ke liye KHun-e-wafa ke badle
ki supurd-e-dar-e-but-KHana ajal ne meri KHak
kis ko saunpa mujhe zalim ne KHuda ke badle
lutf-e-bedad haya ghussa taghaful shoKHi
rang kya kya na talawwun ne ada ke badle
hae main kushta-e-andaz hun ya rab kis ka
hur aai mujhe lene ko qaza ke badle
tir se tegh se KHanjar se sinan se mara
kai pahlu mere qatil ne qaza ke badle
kafan ai gard-e-lahad dekh na maila ho jae
aaj hi hum ne ye kapDe hain naha ke badle
ishq allah bachae wo maraz hai 'fani'
zahr bimar ko dete hain dawa ke badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.