Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai

Sajjad Baqar Rizvi

KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai

Sajjad Baqar Rizvi

ḳhvāhish meñ sukūñ vahī shorish-talbī hai

yaanī mujhe ḳhud merī talab DhūñD rahī hai

dil rakhte haiñ ā.īna-e-dil DhūñD rahe haiñ

ye us talab hai ki vahī ḳhud-talbī hai

tasvīr meñ āñkheñ haiñ ki āñkhoñ meñ hai tasvīr

ojhal ho nigāhoñ se to bas dil pe banī hai

din bhar to phire shahr meñ ham ḳhaak uḌāte

ab raat huī chāñd sitāroñ se Thanī hai

haiñ us tarah sard ye bijlī ke sutūñ bhī

raushan haiñ magar aag kahāñ dil meñ lagī hai

phir zehn galiyoñ meñ sadā gūñjī hai koī

phir soch rahe haiñ kahīñ āvāz sunī hai

phir ruuh ke kāġhaz pe khiñchī hai koī tasvīr

hai vahm ki ye shakl kahīñ dekhī huī hai

katrā.e to ham laakh rah-e-vahshat-e-dil se

kānoñ meñ salāsil sadā guuñj rahī hai

bāqar' mujhe fursat nahīñ shorīda-sarī

kāñdhoñ pe mire sar hai ki ik dard-sarī hai

KHwahish mein sukun ki wahi shorish-talbi hai

yani mujhe KHud meri talab DhunD rahi hai

dil rakhte hain aaina-e-dil DhunD rahe hain

ye us ki talab hai ki wahi KHud-talbi hai

taswir mein aankhen hain ki aankhon mein hai taswir

ojhal ho nigahon se to bas dil pe bani hai

din bhar to phire shahr mein hum KHak uDate

ab raat hui chand sitaron se Thani hai

hain us ki tarah sard ye bijli ke sutun bhi

raushan hain magar aag kahan dil mein lagi hai

phir zehn ki galiyon mein sada gunji hai koi

phir soch rahe hain kahin aawaz suni hai

phir ruh ke kaghaz pe khinchi hai koi taswir

hai wahm ki ye shakl kahin dekhi hui hai

katrae to hum lakh rah-e-wahshat-e-dil se

kanon mein salasil ki sada gunj rahi hai

baqar' mujhe fursat nahin shorida-sari ki

kandhon pe mere sar hai ki ek dard-sari hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now