KHwab mein raat humne kya dekha
ḳhvāb meñ raat ham ne kyā dekhā
aañkh khulte hī chāñd sā dekhā
kiyāriyāñ dhuul se aTī pā.īñ
āshiyāna jalā huā dekhā
fāḳhta sar-nigūñ babūloñ meñ
phuul ko phuul se judā dekhā
us ne manzil pe lā ke chhoḌ diyā
umr bhar jis kā rāstā dekhā
ham ne motī samajh ke chuum liyā
sañg-reza jahāñ paḌā dekhā
kam-numā ham bhī haiñ magar pyāre
koī tujh sā na ḳhud-numā dekhā
KHwab mein raat hum ne kya dekha
aankh khulte hi chand sa dekha
kiyariyan dhul se aTi pain
aashiyana jala hua dekha
faKHta sar-nigun babulon mein
phul ko phul se juda dekha
us ne manzil pe la ke chhoD diya
umr bhar jis ka rasta dekha
hum ne moti samajh ke chum liya
sang-reza jahan paDa dekha
kam-numa hum bhi hain magar pyare
koi tujh sa na KHud-numa dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.