Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li

Seen Sheen Alam

shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li

Seen Sheen Alam

shu.ūr-e-qais ne sahrā meñ ḳhud-kushī kar

kahā gayā ġham-e-lailā meñ ḳhud-kushī kar

ġham-e-hayāt ke ātish-kade se aayā thā

vo jis ne kuud ke dariyā meñ ḳhud-kushī kar

hamāre qatl shāhid to hai har ik lamha

magar ye shor hai duniyā meñ ḳhud-kushī kar

milā na jab koī autār mujh ko kal-yug meñ

na.e janam tamannā meñ ḳhud-kushī kar

junūñ talāsh-e-bayābāñ meñ munhamik rahā

ḳhirad ne sāġhar-e-sahbā meñ ḳhud-kushī kar

rah-e-hayāt na tai ho sakī to jamunā ne

sunā hai Duub ke gañgā meñ ḳhud-kushī kar

shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li

kaha gaya gham-e-laila mein KHud-kushi kar li

gham-e-hayat ke aatish-kade se aaya tha

wo jis ne kud ke dariya mein KHud-kushi kar li

hamare qatl ka shahid to hai har ek lamha

magar ye shor hai duniya mein KHud-kushi kar li

mila na jab koi autar mujh ko kal-yug mein

nae janam ki tamanna mein KHud-kushi kar li

junun talash-e-bayaban mein munhamik hi raha

KHirad ne saghar-e-sahba mein KHud-kushi kar li

rah-e-hayat na tai ho saki to jamuna ne

suna hai Dub ke ganga mein KHud-kushi kar li

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now