masnad-e-gham pe jach raha hun main
masnad-e-ġham pe jach rahā huuñ maiñ
apnā siina khurach rahā huuñ maiñ
ai sagān-e-gurasna-e-ayyām
juuñ ġhizā tum ko pach rahā huuñ maiñ
andarūn-e-hisār-e-ḳhāmoshī
shor kī tarah mach rahā huuñ maiñ
vaqt kā ḳhūn-e-rā.egāñ huuñ magar
ḳhushk lamhoñ meñ rach rahā huuñ maiñ
ḳhuun meñ tar-ba-tar rahā mirā naam
har zamāne kā sach rahā huuñ maiñ
haal ye hai ki apnī hālat par
ġhaur karne se bach rahā huuñ maiñ
masnad-e-gham pe jach raha hun main
apna sina khurach raha hun main
ai sagan-e-gurasna-e-ayyam
jun ghiza tum ko pach raha hun main
andarun-e-hisar-e-KHamoshi
shor ki tarah mach raha hun main
waqt ka KHun-e-raegan hun magar
KHushk lamhon mein rach raha hun main
KHun mein tar-ba-tar raha mera nam
har zamane ka sach raha hun main
haal ye hai ki apni haalat par
ghaur karne se bach raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.