Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum

Faiz Dakani

karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum

Faiz Dakani

kareñ ham kis puujā aur chaḌhā.eñ kis ko chandan ham

sanam ham dair ham but-ḳhāna ham but ham barahman ham

dar-o-dīvār nazroñ meñ apnī ā.ina-ḳhāna

kiyā kartī haiñ ghar baiThī apnā aap darshan ham

mohabbat hai to apne se 'adāvat hai to apne se

haiñ aap dost apne ham haiñ aap apne dushman ham

kab uThtī haiñ uThā.e se kisī shaiḳh-o-barahman ke

dar-e-dil-par apne maar kar baiThe haiñ aasan ham

jise ġhaib aap samjhe haiñ shahādat jis ko jaane haiñ

binā rakhī haiñ apnī dil lagī ye ghar-āñgan ham

hidāyat ham se paidā zalālat ham pe shaidā

kabhī haiñ rahnumā apne kabhī haiñ apne rahzan ham

na qīl-o-qāl se matlab na shaġhl-ashġhāl se matlab

murāqib apne rahte haiñ kar apnī gardan ham

rahā kartī haiñ pahroñ mahv-e-nazzāra meñ ham apne

sarāpā ho rahe haiñ ab to apne aap darpan ham

huā ai 'faiz' mā'lūm ek muddat meñ hameñ thī vo

japā karte the jis ke naam din-rāt simran ham

karen hum kis ki puja aur chaDhaen kis ko chandan hum

sanam hum dair hum but-KHana hum but hum barahman hum

dar-o-diwar hi nazron mein apni aaina-KHana

kiya karti hain ghar baiThi hi apna aap darshan hum

mohabbat hai to apne se 'adawat hai to apne se

hain aap hi dost apne hum hain aap hi apne dushman hum

kab uThti hain uThae se kisi shaiKH-o-barahman ke

dar-e-dil-par hi apne mar kar baiThe hain aasan hum

jise ghaib aap samjhe hain shahadat jis ko jaane hain

bina rakhi hain apni dil lagi ki ye ghar-angan hum

hidayat hum se hi paida zalalat hum pe hi shaida

kabhi hain rahnuma apne kabhi hain apne rahzan hum

na qil-o-qal se matlab na shaghl-ashghaal se matlab

muraqib apne rahte hain ka kar apni gardan hum

raha karti hain pahron mahw-e-nazzara mein hum apne

sarapa ho rahe hain ab to apne aap darpan hum

hua ai 'faiz' ma'lum ek muddat mein hamein thi wo

japa karte the jis ke nam ki din-raat simran hum

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now