Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanar-e-ab tere pairahan badalne ka

Salim Saleem

kanar-e-ab tere pairahan badalne ka

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    kanār-e-āb tire pairahan badalne

    mirī nigāh meñ manzar hai shaam Dhalne

    ye kaisī aag hai mujh meñ ki ek muddat se

    tamāsha dekh rahā huuñ maiñ apne jalne

    sunā hai ghar pe mirā muntazir nahīñ koī

    so ab ke baar maiñ hargiz nahīñ sambhalne

    ḳhud apnī zaat pe markūz ho gayā huuñ maiñ

    ki hausla nahīñ tere saath chalne

    ab aa ga.e ho to phir umr bhar yahīñ Thahro

    badan se koī bhī rasta nahīñ nikalne

    'salīm' sham-e-vajūd aa ga.ī hai bujhne par

    bas intizār karo mom ke pighalne

    kanar-e-ab tere pairahan badalne ka

    meri nigah mein manzar hai sham Dhalne ka

    ye kaisi aag hai mujh mein ki ek muddat se

    tamasha dekh raha hun main apne jalne ka

    suna hai ghar pe mera muntazir nahin koi

    so ab ke bar main hargiz nahin sambhalne ka

    KHud apni zat pe markuz ho gaya hun main

    ki hausla hi nahin tere sath chalne ka

    ab aa gae ho to phir umr bhar yahin Thahro

    badan se koi bhi rasta nahin nikalne ka

    'salim' sham-e-wajud aa gai hai bujhne par

    bas intizar karo mom ke pighalne ka

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 78)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 76)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now