kal chaman tha aaj ek sahra hua
kal chaman thā aaj ik sahrā huā
dekhte hī dekhte ye kyā huā
mujh ko barbādī kā koī ġham nahīñ
ġham hai barbādī kā kyuuñ charchā huā
ek chhoTā sā thā merā āshiyāñ
aaj tinke se alag tinkā huā
sochtā huuñ apne ghar ko dekh kar
ho na ho ye hai merā dekhā huā
dekhne vāloñ ne dekhā hai dhuāñ
kis ne dekhā dil mirā jaltā huā
kal chaman tha aaj ek sahra hua
dekhte hi dekhte ye kya hua
mujh ko barbaadi ka koi gham nahin
gham hai barbaadi ka kyun charcha hua
ek chhoTa sa tha mera aashiyan
aaj tinke se alag tinka hua
sochta hun apne ghar ko dekh kar
ho na ho ye hai mera dekha hua
dekhne walon ne dekha hai dhuan
kis ne dekha dil mera jalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.