kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun
kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
kahīñ jaise maiñ koī chiiz rakh kar bhuul jaatā huuñ
pahan letā huuñ jab dastār to sar bhuul jaatā huuñ
vagarna to mujhe sab yaad rahtā hai sivā is ke
kahāñ huuñ kaun huuñ kyuuñ huuñ maiñ aksar bhuul jaatā huuñ
mire is haal se gumrāh ho jaate haiñ rahbar bhī
maiñ aksar rāste meñ apnā hī ghar bhuul jaatā huuñ
dikhātā phir rahā huuñ sab ko apne zaḳhm-e-sar lekin
mire hāthoñ meñ bhī hai ek patthar bhuul jaatā huuñ
nikal jaatā huuñ ḳhud apne hisār-e-zāt se bāhar
maiñ aksar paañv phailāne meñ chādar bhuul jaatā huuñ
kabhī jab sochne lagtā huuñ pas-e-manzar ke baare meñ
to mere sāmne ho koī manzar bhuul jaatā huuñ
kabhī to itnā baḌh jaatī hai merī pyaas kī shiddat
mire chāroñ taraf hai ik samundar bhuul jaatā huuñ
kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun
pahan leta hun jab dastar to sar bhul jata hun
wagarna to mujhe sab yaad rahta hai siwa is ke
kahan hun kaun hun kyun hun main aksar bhul jata hun
mere is haal se gumrah ho jate hain rahbar bhi
main aksar raste mein apna hi ghar bhul jata hun
dikhata phir raha hun sab ko apne zaKHm-e-sar lekin
mere hathon mein bhi hai ek patthar bhul jata hun
nikal jata hun KHud apne hisar-e-zat se bahar
main aksar panw phailane mein chadar bhul jata hun
kabhi jab sochne lagta hun pas-e-manzar ke bare mein
to mere samne ho koi manzar bhul jata hun
kabhi to itna baDh jati hai meri pyas ki shiddat
mere chaaron taraf hai ek samundar bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.