kahen kis se hamara kho gaya kya
kaheñ kis se hamārā kho gayā kyā
kisī ko kyā ki ham ko ho gayā kyā
khulī āñkhoñ nazar aatā nahīñ kuchh
har ik se pūchhtā huuñ vo gayā kyā
mujhe har baat par jhuTlā rahī hai
ye tujh bin zindagī ko ho gayā kyā
udāsī raah kī kuchh kah rahī hai
musāfir rāste meñ kho gayā kyā
ye bastī is qadar sunsān kab thī
dil-e-shorīda thak kar so gayā kyā
chaman-ārā.ī thī jis gul kā sheva
mirī rāhoñ meñ kāñTe bo gayā kyā
kahen kis se hamara kho gaya kya
kisi ko kya ki hum ko ho gaya kya
khuli aankhon nazar aata nahin kuchh
har ek se puchhta hun wo gaya kya
mujhe har baat par jhuTla rahi hai
ye tujh bin zindagi ko ho gaya kya
udasi rah ki kuchh kah rahi hai
musafir raste mein kho gaya kya
ye basti is qadar sunsan kab thi
dil-e-shorida thak kar so gaya kya
chaman-arai thi jis gul ka shewa
meri rahon mein kanTe bo gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.