Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya

Iftikhar Arif

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya

Iftikhar Arif

kahāñ ke naam o nasab ilm kyā fazīlat kyā

jahān-e-rizq meñ tauqīr-e-ahl-e-hājat kyā

shikam aag liye phir rahī hai shahr-ba-shahr

sag-e-zamāna haiñ ham kyā hamārī hijrat kyā

dimashq-e-maslahat o kūfa-e-nifāq ke biich

fuġhān-e-qāfila-e-be-navā qīmat kyā

ma.āl-e-izzat-e-sādāt-e-ishq dekh ke ham

badal ga.e to badalne pe itnī hairat kyā

qimār-ḳhāna-e-hastī meñ ek baazī par

tamām umr lagā to phir shikāyat kyā

faroġh-e-san.at-e-qad-āvarī mausam hai

subuk hue pe bhī niklā hai qadd-o-qāmat kyā

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya

jahan-e-rizq mein tauqir-e-ahl-e-hajat kya

shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr

sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya

dimashq-e-maslahat o kufa-e-nifaq ke bich

fughan-e-qafila-e-be-nawa ki qimat kya

maal-e-izzat-e-sadat-e-ishq dekh ke hum

badal gae to badalne pe itni hairat kya

qimar-KHana-e-hasti mein ek bazi par

tamam umr laga di to phir shikayat kya

farogh-e-sanat-e-qad-awari ka mausam hai

subuk hue pe bhi nikla hai qadd-o-qamat kya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif

RECITATIONS

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif,

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Iftikhar Arif

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya Iftikhar Arif

Nomaan Shauque

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now