Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi mili jo tere dard ki nawa mujhko

Azad Gulati

kabhi mili jo tere dard ki nawa mujhko

Azad Gulati

kabhī milī jo tire dard navā mujh ko

ḳhamoshiyoñ ne mujhī se kiyā judā mujh ko

badan ke suune khañDar meñ kabhī jalā mujh ko

maiñ terī ruuh zau huuñ na yuuñ bujhā mujh ko

maiñ apnī zaat ham-sā.egī se Dartā huuñ

mire qarīb ḳhudā ke liye na mujh ko

maiñ chup huuñ apnī shikast-e-sadā vahshat par

mujhe na bolnā paḌ jaa.e mat bulā mujh ko

ye maiñ thā mire andar ḳhauf thā jis ne

tamām umr tanhā.ī sazā mujh ko

bhaTak rahā huuñ maiñ be-samt rāstoñ tarah

kisī bhī samt ho rāsta dikhā mujh ko

har ik ne dekhā mujhe apnī apnī nazroñ se

koī to merī nazar se bhī dekhtā mujh ko

samo ke āñkhoñ meñ umDī ghaTā.eñ ai 'āzād'

vo ek dard sahrā banā gayā mujh ko

kabhi mili jo tere dard ki nawa mujh ko

KHamoshiyon ne mujhi se kiya juda mujh ko

badan ke sune khanDar mein kabhi jala mujh ko

main teri ruh ki zau hun na yun bujha mujh ko

main apni zat ki ham-saegi se Darta hun

mere qarib KHuda ke liye na la mujh ko

main chup hun apni shikast-e-sada ki wahshat par

mujhe na bolna paD jae mat bula mujh ko

ye main tha ya mere andar ka KHauf tha jis ne

tamam umr di tanhai ki saza mujh ko

bhaTak raha hun main be-samt raston ki tarah

kisi bhi samt ka ho rasta dikha mujh ko

har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se

koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko

samo ke aankhon mein umDi ghaTaen ai 'azad'

wo ek dard ka sahra bana gaya mujh ko

Source :
  • Book : Dasht-e-Sada (Pg. 31)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now