Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai

Prem Warbartani

kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai

Prem Warbartani

kabhī khole to kabhī zulf ko bikhrā.e hai

zindagī shaam hai aur shaam Dhalī jaa.e hai

har ḳhushī mom guḌiyā hai muqaddas guḌiyā

taaj sho.aloñ zamāna jise pahnā.e hai

ḳhāmushī kyā kisī gumbad fazā hai jis meñ

guuñj ke merī āvāz palaT aa.e hai

zindagī pūchhe hai ro kar kisī beva tarah

chūḌiyāñ kaun mire haath meñ pahnā.e hai

dil kisī jām-e-labālab tarah lahrā kar

phir tire dast-e-hinā.ī meñ chhalak jaa.e hai

kaun samjhe mire iḳhlās azmat ko bhalā

maiñ vo dariyā huuñ jo qatre meñ samā jaa.e hai

'prem' dekho to sahī zaḳhmoñ ke zevar phaban

shā.erī ban ke dulhan aur bhī sharmā.e hai

kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai

zindagi sham hai aur sham Dhali jae hai

har KHushi mom ki guDiya hai muqaddas guDiya

taj shoalon ka zamana jise pahnae hai

KHamushi kya kisi gumbad ki faza hai jis mein

gunj ke meri hi aawaz palaT aae hai

zindagi puchhe hai ro kar kisi bewa ki tarah

chuDiyan kaun mere hath mein pahnae hai

dil kisi jam-e-labaalab ki tarah lahra kar

phir tere dast-e-hinai mein chhalak jae hai

kaun samjhe mere iKHlas ki azmat ko bhala

main wo dariya hun jo qatre mein sama jae hai

'prem' dekho to sahi zaKHmon ke zewar ki phaban

shaeri ban ke dulhan aur bhi sharmae hai

Source :
  • Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 169)
  • Author : Prem Warbartani
  • Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
  • Edition : 1976
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now