sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai
sabhī ye pūchhte rahte haiñ kyā gum ho gayā hai
batā duuñ? mujh se ḳhud apnā patā gum ho gayā hai
tumhāre din meñ ik rūdād thī jo kho ga.ī hai
hamārī raat meñ ik ḳhvāb thaa, gum ho gayā hai
vo jis ke pech-o-ḳham meñ dāstāñ lipTī huī thī
kahānī meñ kahīñ vo mājrā gum ho gayā hai
zarā ahl-e-junūñ aao hameñ rasta sujhāo
yahāñ ham aql vāloñ kā ḳhudā gum ho gayā hai
nazar baaqī hai lekin tāb-e-nazzāra nahīñ ab
suḳhan baaqī hai lekin mudda.ā gum ho gayā hai
mujhe dukh hai ki zaḳhm o rañj ke is jamghaTe meñ
tumhārā aur merā vāqi.a gum ho gayā hai
ye shiddat dard kī us ke na hone se na hotī
yaqīnan aur kuchh us ke sivā gum ho gayā hai
vo jis ko khīñchne se zaat kī parteñ khuleñgī
hamārī zindagī kā vo sirā gum ho gayā hai
vo dar vā ho na ho, āzād o ḳhud-bīñ ham kahāñ ke
palaT aa.eñ to samjho rāstā gum ho gayā hai
sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai
bata dun? mujh se KHud apna pata gum ho gaya hai
tumhaare din mein ek rudad thi jo kho gai hai
hamari raat mein ek KHwab tha, gum ho gaya hai
wo jis ke pech-o-KHam mein dastan lipTi hui thi
kahani mein kahin wo majra gum ho gaya hai
zara ahl-e-junun aao hamein rasta sujhao
yahan hum aql walon ka KHuda gum ho gaya hai
nazar baqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab
suKHan baqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai
mujhe dukh hai ki zaKHm o ranj ke is jamghaTe mein
tumhaara aur mera waqia gum ho gaya hai
ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti
yaqinan aur kuchh us ke siwa gum ho gaya hai
wo jis ko khinchne se zat ki parten khulengi
hamari zindagi ka wo sira gum ho gaya hai
wo dar wa ho na ho, aazad o KHud-bin hum kahan ke
palaT aaen to samjho rasta gum ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.