Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho

Iftikhar Arif

junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho

Iftikhar Arif

junūñ rañg bhī ho shola-e-numū bhī ho

sukūt-e-shab meñ ik andāz guftugū bhī ho

maiñ jis ko apnī gavāhī meñ le ke aayā huuñ

ajab nahīñ ki vahī aadmī adū bhī ho

vo jis ke chāk-e-garebāñ pe tohmateñ haiñ bahut

usī ke haath meñ shāyad hunar rafū bhī ho

vo jis ke Dūbte naav Dagmagāne lagī

kise ḳhabar vahī taarā sitāra-jū bhī ho

subūt-e-mohkamī-e-jāñ thī jis burrish-nāz

usī teġh se rishta rag-e-gulū bhī ho

vafā ke baab meñ kār-e-suḳhan tamām huā

mirī zamīn pe ik ma.arka lahū bhī ho

junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho

sukut-e-shab mein ek andaz guftugu ka bhi ho

main jis ko apni gawahi mein le ke aaya hun

ajab nahin ki wahi aadmi adu ka bhi ho

wo jis ke chaak-e-gareban pe tohmaten hain bahut

usi ke hath mein shayad hunar rafu ka bhi ho

wo jis ke Dubte hi naw Dagmagane lagi

kise KHabar wahi tara sitara-ju ka bhi ho

subut-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naz

usi ki tegh se rishta rag-e-gulu ka bhi ho

wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua

meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now