dil ki nabzen nok-e-KHanjar se koi chhuta nahin
dil kī nabzeñ nok-e-ḳhanjar se koī chhūtā nahīñ
ye hadīs-e-ārzū hai ai nigār-e-nukta-chīñ
is takalluf se pilā.ī raat saaqī ne sharāb
jhukne vaalī thī mire qadmoñ pe gardūñ kī jabīñ
kaun samjhegā jahān-e-āb-o-gil meñ rāz-e-shauq
āsmānoñ se udhar ābād hai merī zamīñ
rabt-e-marg-o-zindagī kyā hai junūñ se pūchhiye
'aql is nāzuk haqīqat ko samajh saktī nahīñ
pīr-e-mai-ḳhāna mirī pastī pe hairāñ ho gayā
maiñ ne jab kar lī gavārā aap durd-e-tah-nashīñ
vus'at-e-kaunain se aage nikal aayā hai 'ishq
ab tunuk-zarfī nazar aatī hai duniyā ho ki diiñ
sham' raushan kar rahā huuñ aane vāloñ ke liye
aḳhtar'-e-nā-shād maiñ is 'ahd kā shā'ir nahīñ
dil ki nabzen nok-e-KHanjar se koi chhuta nahin
ye hadis-e-arzu hai ai nigar-e-nukta-chin
is takalluf se pilai raat saqi ne sharab
jhukne wali thi mere qadmon pe gardun ki jabin
kaun samjhega jahan-e-ab-o-gil mein raaz-e-shauq
aasmanon se udhar aabaad hai meri zamin
rabt-e-marg-o-zindagi kya hai junun se puchhiye
'aql is nazuk haqiqat ko samajh sakti nahin
pir-e-mai-KHana meri pasti pe hairan ho gaya
main ne jab kar li gawara aap durd-e-tah-nashin
wus'at-e-kaunain se aage nikal aaya hai 'ishq
ab tunuk-zarfi nazar aati hai duniya ho ki din
sham' raushan kar raha hun aane walon ke liye
aKHtar'-e-na-shad main is 'ahd ka sha'ir nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.