jo meri aarzu nahin karta
jo mirī aarzū nahīñ kartā
us kī maiñ justujū nahīñ kartā
hijr-e-jānāñ meñ apne ashkoñ se
kaun hai jo vuzū nahīñ kartā
vo to terā kalīm thā varna
sab se tū guftugū nahīñ kartā
sayyad-ul-ambiyā the vo varna
sab ko tū rū-ba-rū nahīñ kartā
terī nisbat milī mujhe jab se
maiñ koī aarzū nahīñ kartā
har ghaḌī jis kī baat kartā huuñ
mujh se vo guftugū nahīñ kartā
dar-ba-dar yuuñ nahīñ bhaTaktā maiñ
jo farāmosh tū nahīñ kartā
ho nahīñ paatī shā.irī 'afzal'
nazr jab tak lahū nahīñ kartā
jo meri aarzu nahin karta
us ki main justuju nahin karta
hijr-e-jaanan mein apne ashkon se
kaun hai jo wuzu nahin karta
wo to tera kalim tha warna
sab se tu guftugu nahin karta
sayyad-ul-ambiya the wo warna
sab ko tu ru-ba-ru nahin karta
teri nisbat mili mujhe jab se
main koi aarzu nahin karta
har ghaDi jis ki baat karta hun
mujh se wo guftugu nahin karta
dar-ba-dar yun nahin bhaTakta main
jo faramosh tu nahin karta
ho nahin pati shairi 'afzal'
nazr jab tak lahu nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.