jo ham-kalam ho humse usi ke hote hain
jo ham-kalām ho ham se usī ke hote haiñ
ham ek vaqt meñ ek aadmī ke hote haiñ
koī jahāñ meñ ḳhushī se guzārnā chāhe
to be-shumār bahāne ḳhushī ke hote haiñ
jamāliyāt ke parche meñ aaTh nau number
faqat shaguftagī-o-dil-kashī ke hote haiñ
kisī ke saath bhī baiThe hue dikhā.ī deñ
tasavvurāt meñ ham aap hī ke hote haiñ
'shu.ūr' sirf irāde se kuchh nahīñ hotā
amal hai shart irāde sabhī ke hote haiñ
jo ham-kalam ho hum se usi ke hote hain
hum ek waqt mein ek aadmi ke hote hain
koi jahan mein KHushi se guzarna chahe
to be-shumar bahane KHushi ke hote hain
jamaliyat ke parche mein aaTh nau number
faqat shaguftagi-o-dil-kashi ke hote hain
kisi ke sath bhi baiThe hue dikhai den
tasawwuraat mein hum aap hi ke hote hain
'shuur' sirf irade se kuchh nahin hota
amal hai shart irade sabhi ke hote hain
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 93)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.