jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
jo ham aa.e to botal kyuuñ alag pīr-e-muġhāñ rakh dī
purānī dostī bhī taaq par ai mehrbāñ rakh dī
qafas meñ shāḳh-e-gul sayyād ne ai āsmāñ rakh dī
banā kar shāḳh-e-gul haañ terī shāḳh-e-kahkashāñ rakh dī
ye kaisī aag bhar kar jaam meñ pīr-e-muġhāñ rakh dī
jo toḌī mehr-e-sāġhar se to kuchh uTThā dhuāñ rakh dī
zarā chheḌā jo us ne ho ga.ī aisī za-ḳhud-rafta
ki sham'-e-bazm ne gul-gīr ke lab par zabāñ rakh dī
ḳhudā ke haath hai biknā na biknā mai kā ai saaqī
barābar masjid-e-jāme ke ham ne ab dukāñ rakh dī
chaman kā lutf aatā hai mujhe sayyād ke sadqe
qafas meñ lā ke us ne aaj shāḳh-e-āshiyāñ rakh dī
binā hai ek hī donoñ kī kā'ba ho ki but-ḳhāna
uThā kar ḳhisht-e-ḳhum maiñ ne vahāñ rakh dī yahāñ rakh dī
ye qais-o-kohkan ke se fasāne ban ga.e kitne
kisī ne TukḌe TukḌe sab hamārī dāstāñ rakh dī
ta'ayyun se munazzah shoḳhiyāñ haiñ us ke jalve kī
hamārī vus.at-e-dil meñ banā-e-lā-makāñ rakh dī
nazar muddat se thī ai shaiḳh jis par mai-faroshoñ kī
vo dastār-e-fazīlat rehn ham ne mehrbāñ rakh dī
ye kyā thā jalva un kā dekhnā thā ham ko parde meñ
lagā kar aañkh se ham ne jo tasvīr-e-butāñ rakh dī
ye 'ālam hai 'riyāz' ek ek qatre ko tarastā huuñ
haram meñ ab bharī botal ḳhudā jaane kahāñ rakh dī
jo hum aae to botal kyun alag pir-e-mughan rakh di
purani dosti bhi taq par ai mehrban rakh di
qafas mein shaKH-e-gul sayyaad ne ai aasman rakh di
bana kar shaKH-e-gul han teri shaKH-e-kahkashan rakh di
ye kaisi aag bhar kar jam mein pir-e-mughan rakh di
jo toDi mehr-e-saghar se to kuchh uTTha dhuan rakh di
zara chheDa jo us ne ho gai aisi za-KHud-rafta
ki sham'-e-bazm ne gul-gir ke lab par zaban rakh di
KHuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi
barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di
chaman ka lutf aata hai mujhe sayyaad ke sadqe
qafas mein la ke us ne aaj shaKH-e-ashiyan rakh di
bina hai ek hi donon ki ka'ba ho ki but-KHana
uTha kar KHisht-e-KHum main ne wahan rakh di yahan rakh di
ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne
kisi ne TukDe TukDe sab hamari dastan rakh di
ta'ayyun se munazzah shoKHiyan hain us ke jalwe ki
hamari wusat-e-dil mein bana-e-la-makan rakh di
nazar muddat se thi ai shaiKH jis par mai-faroshon ki
wo dastar-e-fazilat rehn hum ne mehrban rakh di
ye kya tha jalwa un ka dekhna tha hum ko parde mein
laga kar aankh se hum ne jo taswir-e-butan rakh di
ye 'alam hai 'riyaz' ek ek qatre ko tarasta hun
haram mein ab bhari botal KHuda jaane kahan rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.