jo hai wo kyun hai aur jo nahin hai wo kyun nahin
jo hai wo kyun hai aur jo nahin hai wo kyun nahin
Abdurrahman momin
MORE BYAbdurrahman momin
jo hai vo kyuuñ hai aur jo nahīñ hai vo kyuuñ nahīñ
ye jaan luuñ abhī mujhe aisā junūñ nahīñ
maiñ kyā huuñ aur kyuuñ huuñ mujhe is se kyā ġharaz
is se bhī kyā ġharaz mujhe huuñ bhī ki huuñ nahīñ
maiñ chāhtā huuñ maut jo aa.e mirī taraf
maiñ maut ko gale se lagā luuñ marūñ nahīñ
jiine kī aarzū mujhe le aa.ī hai yahāñ
maiñ varna ek pal bhī yahāñ par rahūñ nahīñ
jis par hai kā.enāt kā har raaz āshkār
vo kah rahā hai haañ to maiñ kaise kahūñ nahīñ
'momin-miyāñ' ye kaam nahīñ hai ye ishq hai
kyā soch meñ paḌe ho karūñ yā karūñ nahīñ
jo hai wo kyun hai aur jo nahin hai wo kyun nahin
ye jaan lun abhi mujhe aisa junun nahin
main kya hun aur kyun hun mujhe is se kya gharaz
is se bhi kya gharaz mujhe hun bhi ki hun nahin
main chahta hun maut jo aae meri taraf
main maut ko gale se laga lun marun nahin
jine ki aarzu mujhe le aai hai yahan
main warna ek pal bhi yahan par rahun nahin
jis par hai kaenat ka har raaz aashkar
wo kah raha hai han to main kaise kahun nahin
'momin-miyan' ye kaam nahin hai ye ishq hai
kya soch mein paDe ho karun ya karun nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.