Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis bazm mein tu naz se guftar mein aawe

Mirza Ghalib

jis bazm mein tu naz se guftar mein aawe

Mirza Ghalib

jis bazm meñ naaz se guftār meñ aave

jaañ kālbad-e-sūrat-e-dīvār meñ aave

saa.e tarah saath phireñ sarv o sanobar

is qad-e-dilkash se jo gulzār meñ aave

tab nāz-e-girāñ mā.igi-e-ashk bajā hai

jab laḳht-e-jigar dīda-e-ḳhūñ-bār meñ aave

de mujh ko shikāyat ijāzat ki sitamgar

kuchh tujh ko mazā bhī mire āzār meñ aave

us chashm-e-fusūñ-gar agar paa.e ishāra

tuutī tarah aa.ina guftār meñ aave

kāñToñ zabāñ suukh ga.ī pyaas se rab

ik ābla-pā vādī-e-pur-ḳhār meñ aave

mar jā.ūñ na kyuuñ rashk se jab vo tan-e-nāzuk

āġhosh-e-ḳham-e-halqa-e-zunnār meñ aave

ġhārat-gar-e-nāmūs na ho gar havas-e-zar

kyuuñ shāhid-e-gul baaġh se bāzār meñ aave

tab chāk-e-garebāñ mazā hai dil-e-nālāñ

jab ik nafas uljhā huā har taar meñ aave

ātish-kada hai siina mirā rāz-e-nihāñ se

ai vaa.e agar ma.ariz-e-iz.hār meñ aave

ganjīna-e-ma.anī tilism us ko samajhiye

jo lafz ki 'ġhālib' mire ash.ār meñ aave

jis bazm mein tu naz se guftar mein aawe

jaan kalbad-e-surat-e-diwar mein aawe

sae ki tarah sath phiren sarw o sanobar

tu is qad-e-dilkash se jo gulzar mein aawe

tab naz-e-giran maigi-e-ashk baja hai

jab laKHt-e-jigar dida-e-KHun-bar mein aawe

de mujh ko shikayat ki ijazat ki sitamgar

kuchh tujh ko maza bhi mere aazar mein aawe

us chashm-e-fusun-gar ka agar pae ishaara

tuti ki tarah aaina guftar mein aawe

kanTon ki zaban sukh gai pyas se ya rab

ek aabla-pa wadi-e-pur-KHar mein aawe

mar jaun na kyun rashk se jab wo tan-e-nazuk

aaghosh-e-KHam-e-halqa-e-zunnar mein aawe

ghaarat-gar-e-namus na ho gar hawas-e-zar

kyun shahid-e-gul bagh se bazar mein aawe

tab chaak-e-gareban ka maza hai dil-e-nalan

jab ek nafas uljha hua har tar mein aawe

aatish-kada hai sina mera raaz-e-nihan se

ai wae agar mariz-e-izhaar mein aawe

ganjina-e-mani ka tilism us ko samajhiye

jo lafz ki 'ghaalib' mere ashaar mein aawe

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Zulfiqar Ali Bukhari

Zulfiqar Ali Bukhari

Syed Tahir Hasni

Syed Tahir Hasni

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now