Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai

Akbar Hyderabadi

jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    jin ke nasīb meñ āb-o-dāna kam kam hotā hai

    maa.il un samt zamāna kam kam hotā hai

    raste meñ ho jaatī haiñ bāteñ bas do-chār

    ab to un ke ghar bhī jaanā kam kam hotā hai

    mushkil se kar letī hai duniyā use qubūl

    aisī haqīqat jis meñ fasāna kam kam hotā hai

    kabhī jo bāteñ ishq ke sāl-o-sin hāsil thiiñ

    ab un bātoñ yaad aanā kam kam hotā hai

    riñd sabhī sāġhar par sāġhar chhalkāte jaate haiñ

    kyuuñ labrez mirā paimāna kam kam hotā hai

    baat pate kar jaatā hai yuuñ to kabhī kabhī

    hosh meñ lekin ye dīvāna kam kam hotā hai

    kitnī muqaddas hogī 'akbar' us bachche pyaas

    jis ik Thokar se ravāna zamzam hotā hai

    jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai

    mail un ki samt zamana kam kam hota hai

    raste hi mein ho jati hain baaten bas do-chaar

    ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai

    mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul

    aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai

    kabhi jo baaten ishq ke sal-o-sin ka hasil thin

    ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai

    rind sabhi saghar par saghar chhalkate jate hain

    kyun labrez mera paimana kam kam hota hai

    baat pate ki kar jata hai yun to kabhi kabhi

    hosh mein lekin ye diwana kam kam hota hai

    kitni muqaddas hogi 'akbar' us bachche ki pyas

    jis ki ek Thokar se rawana zamzam hota hai

    Source :
    • Book : Firdaus-e-Khayal (Poetry) (Pg. 24)
    • Author : Akbar Hyderabadi
    • Publication : Nirali Duniya Publications (2002)
    • Edition : 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now