jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain
jiit aur haar kÄ imkÄn kahÄƱ dekhte haiƱ
gaaƱv ke log haiƱ nuqsÄn kahÄƱ dekhte haiƱ
jab se dekhÄ hai tire chehre ko is shahr ke log!
phuul bÄÄ”hÄ«cha o gul-dÄn kahÄƱ dekhte haiƱ
qÄ«mtÄ« shai thÄ« tirÄ hijr uThÄ.e rakkhÄ
varna sailÄb meƱ sÄmÄn kahÄƱ dekhte haiƱ
mujh ko aflÄk se hijrat kÄ« sadÄ aatÄ« hai,
aadmÄ« 'ishq meƱ zindÄn kahÄƱ dekhte haiƱ
'Ämir' is taįø³ht meƱ tÄbÅ«t nazar aatÄ hai
dekhte ham haiƱ ye darbÄn kahÄƱ dekhte haiƱ
jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain
ganw ke log hain nuqsan kahan dekhte hain
jab se dekha hai tere chehre ko is shahr ke log!
phul baghicha o gul-dan kahan dekhte hain
qimti shai thi tera hijr uThae rakkha
warna sailab mein saman kahan dekhte hain
mujh ko aflak se hijrat ki sada aati hai,
aadmi 'ishq mein zindan kahan dekhte hain
'amir' is taKHt mein tabut nazar aata hai
dekhte hum hain ye darban kahan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.